Followers

Friday, July 27, 2012

Aisa bantwara kyun?


Sirf dharm me hi bhed bhav kyun... 
Sahi hai ki agar bantwara karna hai to jal, vayu, suraj, kiranein, varsha sab cheezo ka bantwara ho... aur agar wo na kar paaye to kisi bhi cheez ka bantwara na ho....
Kis baat pe hum ek doosre ko alag sochte hai??? aisa kya alag hai manushyon me.. sirf dharm??? 
Agar bantwara hi karna ho to sab cheez me karo.. aur agar wo na ho paye to kisi bhi cheez me bantwara na ho... sab mil jul ke rahe... sab khush rahe..... :)

Wednesday, June 20, 2012

Swapn

Swapn itna achcha prateet shayad isliye hota hai kyunki saamanyataha wo vaastavikta me parineet nahi ho pata... aur kabhi kabhi to itna bura bhi shayad isliye hi hota hai kyunki wo satya nahi hota -bilkul anuroop auvitya... isiliye to swapn maatr swapn hi hota hai... iska haquiqat ke saath koi tallukaat nahi hota...

Tuesday, June 05, 2012

paisa...

Yeh baat poorntaya satya hai ki... jab tak apne paas paisa hai, tab tak hamare bahut dost hai, tab tak izzat bhi bahut milti hai aur... agar hamare paas paisa nahi to kuch bhi nahi... na hi dost, na hi chahne wale, na hi izzat dene wale... par bhi itna kuch hote hue bhi paisa sab kuch nahi hota hai... paisa sab kuch nahi khareed sakta hai... paise ki pahunch bas ek seema tak seemit hai... uske paar to paisa bhi dhool samaan hai...

Sunday, April 29, 2012

Safalta

Kabhi kabhi hum haar kar bhi safal ho jaate hai.... jo mehnat , nishtha, lagan aur jaan hum karya me daal dete hai... uske baad chahe parinaam anukul ho ya pratikul ho... manushya vijayi zaroor ban jata hai.....safalta manushya ko paribhashit tab hi karta hai jab manushya apna karya nipuntapoorvak safal karta hai...

Wednesday, March 28, 2012

Tark aur Sehmati...

Apni baat manwane ke do tareeke hote hai... ek tark karke... aur ek sehmati arjan karke... tark karke hum kisi ko paraast kar sakte hai parantu sehmati se hum unpe vijay prapt kar lete hai... tark karke jeetna khushi to zaroor deta hai par santushti nahi.... usi prakaar kisi ki sehmati hasil karna khushi aur santushti, dono ka laabh karata hai... 

Sunday, March 18, 2012

Dharm aur Karm...

Dharm aur Karm ek doosre ke bina adhure hai... dharm jahan par shanti, sthirta, dridhta evam dhairyata ka prateek hota hai usi prakaar karm gati, anusashan, teevrata evam utprerna ka prateek... agar dharm aur karm ka samaagam ho jaye to safalta, shreshthata evam nipunta swataha manushya me antarbhavit ho jayegi...

Friday, March 16, 2012

Sukh aur Dukh...

Chhote sukh ki mahavata insaan ko tab tak nahi hoti jab tak wo bade sukho ka anand uthate rehta hai... in bade sukho me kitne hi chhote sukh vilipt hai unka abhaas bhi use nahi hota... Sukh aur dukh... dono jivan ke ang hai... dukh ke baad jab chhota sa sukh naseeb hota hai to wo hi bahut bada prateet hone lagta hai... parantu jab bade sukh aate hai to manushya in chhote chhote sukho ko bhool jata hai... use tab is baat ka gyaan nahi rehta ki ye bade bade sukh in  chhote chhote sukho se hi banta hai.... isliye chhote sukh bhi agar jivan me aate hai to unhe khul ke jiyo aur uska bharpoor maza lo tab wo chhote sukh bhi kaafi bade mehsoos honge...

Sunday, March 11, 2012

Pratibha...

Sahi avsar hi kisiki pratibha ka nirmaan karta hai... aur manushya bhi usi se pratibhashaali ho uthta hai.... anukul paristithi me manushya apne guno ko aur apne pratibha ko parakh sakta hai... pratikul paristithiyaan manushya ko apne hi pratibha ki ehmiyat ka aabhas karwata hai... pratibhawaan vyakti uchit samay ka pratiksha nahi karta apitu anuchit samay ko uchit me parinit karne me saksham hota hai...

Sunday, February 26, 2012

Samay Ki Ahmiyat...

Samay ki Ahmiyat kuch is prakaar hai... Jo samay ki kadar na kare... samay uski kadar kabhi nahi karta... apitu use nasht karke rakh deta hai... samay ko utna hi maan do jitna maan samay se pana chaho.... samay na thamta hai, na rukta hai, na jhukta hai aur na hi pratiksha karta hai kisi ka... agar samay ke anusaar kuch chahte ho to khud ko samay ke anusaar nirdharit karo.... isme safalta evam samajhdaari... dono tirohit hai...

Friday, February 10, 2012

Haar Aur Jeet...

Haar Aur Jeet manushya ke jivan ke ang hai... Ise chah kar bhi uske jivan se vicchhed nahi kiya ja sakta... Agar manushya apne pratyek "jeet" ko bhool jata hai to use aage unnati hi prapt hogi kyunki wo apni "jeet" ko yaad kar ke santusht nahi hoga aur aage bhi jeetne ka bharpoor prayatna karega... usi bhaanti manushya ka apni pratyek "haar" ko yaad rakhna uchit hai... yadi wo apne "haar" ko yaad rakhe to usse wo kuch seekhega aur phalswaroop aage uski jeet nischit hai... 

Tuesday, February 07, 2012

Dhan...

Jab manushya ke jivan me karya ki badhotri hoti hai to uske dhan ki bhi vritti hoti hai... parantu jab dhan ki vritti hoti hai to manushya ke karya ki nivritti ho jati hai...dhan manushya ke mastishq par haavi hota hai jiski wajah se manushya ko jo nishchit karya karne hote hain uske prati uski ruchi adrishya ho jati hai... manushya jin aadarsho aur sadguno se ye dhan arjit karta hai wohi dhan sarvapratham manushya ke unhi aadarsho ko aur sadguno ko raund ke rakh deta hai... jisne dhan ke alaawa kuch aur nahi dekha uska kaal nishchit hai...

Monday, February 06, 2012

Aastha...

Jahan par niyam va anushasan karya ke samaapan ke liye mahatvapoorna hote hai vahi yah bhi satya hai ki aastha va dhyaan se karya poorn ho jate hai... aastha ekagrata ka soochak hai... aur ekagra vyakti kathintam se kathintam karya ko poorna karne me safal raha hai... agar guru me, khud me aur bhagwaan me bharpoor aastha hai to niyam va anushasan ki aavashyakta nahi hai... haan anushasan aur niyam jivan me hone chahiye parantu usi had tak, jab tak wo hume aazadi se jeene de aur apne bandhan me hume baandh ke na rakhe...

Sunday, February 05, 2012

Jivan...

Jivan itna bada, itna adbhut, itna sakriya, itna anokha, itna rahasyamayi hai... ki iske samay antaraal me jo bhi vastu ya vyakti aata hai... ye use apne swabhavanusaar apne anant pravaah me shaamil kar leta hai... jivan kabhi sthir ya sthayi nahi raha hai... choonki ye to sadev pravahit hi hota gaya hai.... isi sanchalit gati ka naam jivan hai...

Wednesday, February 01, 2012

Ghrina... Dwesh... Krodh



Ghrina, dwesh emav krodh vyakti ke jivan ke sabse bade dushman hai... vyakti ki unnati ho rahi hai ya avnati, wo in teen cheezo se hi pata chalti hai... agar manushya ne jivan me ghrina, dwesh ya krodh ko sthaan nahi diya to uski unnati nishchit hai... agar usne in teeno ko nahi tyaaga to manushya ko avanti ke path par chalne se koi nahi rok bacha sakta... 


Tuesday, January 31, 2012

Bada jivan ya Behtar jivan...

Aisa zaroori nahi ki bada jivan behtar ho jaye par ye zaroor dekhiyega ki behtar jivan apne aap bada ho jata hai... isiliye hum sabko bada jivan nahi... behtar jivan ki kaamna hi karni chahiye ... "jivan jivan tab tak hi rehta hai jab tak us jivan me jivan ho"...

Aadar sahit prem...

" love can heal all the pains"... jivan ke andheri se andheri raho pe bhi agar ek 'aadar' ke saath prem ka sahara ho to wo ujale me kis prakaar se parivartit ho jata hai iska gyaan swayam prem karne wale ko bhi pata nahi lagta.... Iske chalte sabse kathintam se kathintam raah ko bhi bade hi kushaltapurvak paar kar sakte hai...

Vani...


"Aisi Vani Boliye, Man Ka Aapa Khoye, Apna Tan Sheetal Kare, Auran Ko Sukh Hoye"... Vaani hamesha aisi honi chahiye jisse ki khud ko bhi sheetalta mile aur auro ko bhi mugdh kar de... usi prakar aise sune ki doosre hume dekhke bolna pasand kare... ek achcha vaktaa aur ek achcha shrota hi jag ko jeet sakta hai... :-)


Monday, January 30, 2012

Rajneeti aur Dharm

Rajneeti aur dharm, dono hi ek doosre ke viparit hai... aajkal ke dino me jo drishya paya jata hai usme agar manushya dharm me vileen ho to rajneeti karna asambhav ho jata hai aur agar rajneeti me vileen ho to dharm ka patra banna asambhav ho jata hai.... dharmik vyakti rajneeti ko samajh nahi pata aur na hi rajneta dharm ke bhavo ko... isi hetu aaj dharm aur rajneeti me ek bada faasla reh gaya hai... aise kayi chuninda log hi honge jo dharm aur rajneeti ke mishran ko bahut hi saral evam nipunta purvak sambhal pate hai..

Prem Ek Shakti...

Prem to hamesha se hi upar raha hai aur aage bhi upar hi rahega.... prem ek aisi shakti hai jo sabko jode rakhe... isiliye to prem safal hai...Prem to sarvopari hai... ek aisi shakti... jiska anubhav jisne kiya hai wo hi samajh paya hai use...

“Aap bhale to jag bhala”

“Aap bhale to jag bhala”… agar desh ya duniya ko badalna hi hai to sarva pratham khud ko badalna anivaarya hai… khud ko badalte hi aas-paas ke log , parijan, dost… sab logo me badlav umadne lagta hai….. kya pata isi sangati ki chatra chhaya me dheere dheere ye badlav failta hi jaye… aur ek din poore vishva ko hi badal ke rakh de…