Chhote sukh ki mahavata insaan ko tab tak nahi hoti jab tak wo bade sukho ka anand uthate rehta hai... in bade sukho me kitne hi chhote sukh vilipt hai unka abhaas bhi use nahi hota... Sukh aur dukh... dono jivan ke ang hai... dukh ke baad jab chhota sa sukh naseeb hota hai to wo hi bahut bada prateet hone lagta hai... parantu jab bade sukh aate hai to manushya in chhote chhote sukho ko bhool jata hai... use tab is baat ka gyaan nahi rehta ki ye bade bade sukh in chhote chhote sukho se hi banta hai.... isliye chhote sukh bhi agar jivan me aate hai to unhe khul ke jiyo aur uska bharpoor maza lo tab wo chhote sukh bhi kaafi bade mehsoos honge...
No comments:
Post a Comment